PDA

View Full Version : Wafa agar raas na aaye wo


govind_love
11-29-2007, 05:32 AM
Wafa agar raas na aaye wo wafa kyun karein
Dua gar asmaan tak na jaye hum dua kyun karein

Uss deewani ke khwaab din raat dekhte hain hum
Naseeb mein faqat khwaab hai, milne ke chaah kyon karein

Dil ke har ek dhadkan uss ko sada deti hai pal pal
Wo suni ko unsuni karde to hum izhaar e wafa kyun karein

Uss ke yaad taddpayegi zindagi bhar yunhi mujhe
Behthar hai bhool jaaon "Doston" zakhm aur gehra kyun karein....!! !


  Indian forums  | Webmaster Discussion Forums  Search Engine Marketing India |